Instagram ek bahut popular social network hai aur aaj ke samay me sabse jyada use hone wala social media platform instagram hai. Instagram par esi bahut sari chije hai jiske baare me hum nahi jante hai. Jisme se ek yah hai ki instagram ki dp kaise dekhe? Isliye aaj me aapko instagram ki esi hi ek trick ke bare me batane wala hu jiske bare me bahut logo ko pata nahi hoga. Aaj me aapko kisi ke bhi Instagram account ki profile photo ko full size me kaise dekhna aur kaise usko apni gallery me save karna hai iske bare me batane wala hu.
Instagram ki dp dekhne ke vaise to bahut sare tarike hai jiski madad se instagram ke account ki profile picture dekhi ja sakti hai par me aapko aaj is trick ko karne ke 2 tarike batane wala hu jisme se ek hai web browser ki madad se is dp dekhna aur dusre me hum 3rd party app ki madad se instagram ki profile photo dekh sakte hai.Instagram ki dp kaise dekhe
Jaisa ki mene aapko bataya ki aaj me aapko iske do tarike batane wala hu aur dono tricks puri tarah se kaam karti hai aap post ko achche se read kare taaki aapko sab kuch achche se samjh aajaye. Chaliye sabse pahle hum 3rd party app wali trick dekh lete hai.
#Trick-:1 Qeek App
Instagram ki profile picture dekhne ke liye vaise to bahut saare apps hai par qeek app ek dum simple aur use karne me easy hai isliye hum iski madad se instagram ki dp dekhenge aur usko download karne ke bare me janenge.
1. Sabse pahle aap qeek app ko download kare aapko yah app internet par mil jayega aur agar aap android mobile chalate hai to aap ise play store se download kar sakte hai niche iska download link mene de diya hai aap yaha se bhi download kar sakte hai.
2. Download karne ke baad isko open kare yaha aapko upar ek search box dikhega is par click karke aapko uske account ka username dalna hoga jiska full size profile photo aapko dekhna hai. Username daal kar search par click kare. Isse aapke samne uske account ki profile photo aati hai. Jis account ke username ko aapne search kiya hai.
3. Ab yaha par aapko ek zoom ka option milta hai aapko is par click karna hai. Fir aapko 2 option dikhaye jate hai Jisme se ek Watch ad hoga aur dusra Get pro hoga to aapko isme se watch ad wala option chunna hoga.
4. Ab aapke samne 15 ya 30 second ka ads chalega aur uske baad instagram ki dp ko full size me dikhaya jayega. Aapko yahi niche left ki taraf arrow dikhega jis par click karke victim ki profile photo download kar sakte hai aur yah photo aapki gallery me save ho jayegi.Ab yah to tha Qeek app ki madad se instagram ki dp ko dekhne ka tarika par ab hum aapko web browser ki madad se bhi is trick ko karne ka tarika batane wale hai.Trick #2
Web browser ki madad se instagram ki dp dekhna bahut aasan hai iske liye aapke mobile me uc browser hona chahiye aap dusre browser ka use nahi kar sakte hai kyoki usme yah trick kaam nahi karti hai. Isliye aap uc browser ka upyog kare aur agar aapke paas uc browser nahi hai to aap usko internet se download kar sakte hai. Chaliye ab hum aapko web browser se instagram ki profile photo kaise dekhna hai iske bare me batate hai.
1. Sabse pahle to instagram khole aur us vyakti ke account par chale jaye jiski dp aapko dekhna hai. Jab aap victim ki profile par chale jate hai to aapko yaha right side pe 3 dots dikhte hai aap simply is par click kare aur copy profile url ke option par click karke uske profile ka link copy kare. Is link ki madad se hum us vyakti ki instagram ki dp dekh sakte hai.
2. Ab aapko apna uc browser kholna hai aur isme aapko search tab par click karke copy kiya hua profile URL paste karna hai. Iske baad search par click karna hai. Aapke samne us vyakti ki profile uc brwoser me khul jayegi. Yaha par aapko uske profile photo (dp) par click karke hold karna hai. Jab aap hold karte hai to ek pop up me kuch option aapke samne honge isme se aap view image par click kare. Isse aapko vyakti ke instagram ki profile picture full size me dikhegi.4. isse aapke samne victim ki profile picture full size me khul jayegi. Is tarah se hum Web browser me bhi instagram ki dp ko aasani se dekh sakte hai.